Sham k sanvle chehrey ko nikhara jaye
kyu`n na saghar se koi chand ubhara jaye
raas aaya nahee`n taskeen ka sahil koi
phir mujhey pyas k darya mai utara jaye
mehrbaa`n teri nazar teri adayain qaatil
tujhko kiss naam se ai dost pukara jaye
mujhko darr hai terey wadey pe bharosa kar k
muft mai ye dil e khush fehm na mara jaye
jis k damm se tere din raat darkhsha`n thai QATEEL
kaise ab uskey bina waqt guzara jaye
Related Posts