!*! Koi To Hota !*!
Koi To Hota...
Jo Mujh Ko Dil Ka Qarar Kehta
Ragoon Ka Apni Fishar Kehta
Udaas Mosam Main Tazgi Ki Bahaaar Ban Kar
Jo Meri Bahoon Ko Arzoo Ka Diyar Kehta
Koi To Hota ...
Dua Say Apni
Jo Dukh Bhi Meray Samait Leta
Woh Iss Jahan Say Ghamon Ka Meray Hisab Leta
Woh Sari Duniya Ki Rafaqaton Kay Tamam Rishtay
Sirf Meri Khatir Tor Deta
Koi To Hota ...
Main Jis Kay Itna Kareeb Hota
Na Paas Koi Raqeeb
Hota
Main Tanha Uss Ka Habib Hota
Yeh Silsila Bhi Ajeeb Hota
Koi To
Hota... Aye Kaash...
Koi To Hota...