KHWAB TOOT JATEY HAIN...
khuab toot jatey hain
bheerh main zamaney ki haath Choout jatey hain
dost'daar lehjey main silwatain si parti hain
ik zara si ranjish sey
shak ki zard tehni per phool badgumani key
is tarah sey khiltey hain
zindagi sey piyarey bhi
ajnabi sey lagtey hain,gher ban ke miltey hain
umer bher ki chahat ko aasra nahin milta
khamshi ke waqfon main
baat toot jati hai aur sira nahin milta
maazrat key lafzon ko roshni nahin milti
lazzat-e-pazirai phir kabhi nahi milti
phool rang wadon ki manzilain sukerhti hain
raah murhney lagti hai
bey rukhi key garey sey bey dili ki mitti sey
fasley ki eenton sey eent jurney lagti hai
khaak urhney lagti hai
khuab toot jatey hain
wahmon ke saaye sey umar bher ki mahnet ko
pal main loot jatey hain
ik zara si ranjish sey
saath toot jatey hain
bheerh main zamaney ki
haath Choout jatey hain
khuab toot jatey hain