Ek kali thi jo bin khile murjha gai,
Hue jo zulm us par wo sah gai,
Ek anokhi nai kahani rach gai,
Soye hue jag ko jagake chali gai,
Aaj duba hai sara sangsaar gham ki khai mein,
Jo sabke dilon mein beintehan pyaar chhod gai,
Jise naa jana tha kabhi is zamane ne,
Wo hi aaj sabke aankhon mei aansuon kaa sailab de gai,
Kal naa aae aisa daur wo raah de gai,
Har dhadakte dilon ko paigam de gai,
Jag utha insaan wo aisa kaam kar gai,
Apne aap hi khud ek misaal ban gai,
Karta hoon tah dil se pranam us mahan kali ko
Jo naye saal mein sare aawam ko jagrit kar gai……